B.Ed Kya Hota Hai kaise kre ? - AnysolutionTechnical website

AnysolutionTechnical website

ANYSOLUTION FOUNDNER RANJAN MISHRA

JOIN ONLINE CLASS

Monday, May 28, 2018

B.Ed Kya Hota Hai kaise kre ?


B.Ed  Kaise Kare?


B.Ed Course Information by RAJAN MISHRA

B.Ed ki full form bachelor of education hai B.Ed ki undergraduate professional degree hai jo kay students ko schools mein as a teacher kaam karne Ke  liye karwaya jata hai. Kuch countries mein teaching qualify karne kay liye isky ilawa mazeed work bhi karwaya jata hai.


North America mein ye degree program kay sath karwai jati hai jiski duration 1 sey 5 saal tak hoti hai. Ye requirements par depend karta hai kay konsi university mein B.Ed karwaya ja raha hai. Canada mein teaching certification kay liye B.Ed degree required hai. B.Ed program kay liye high school mein direct entry bhi ki jati hai jisy combined degree kehte hain jo dusri bachelor degree kay sath ya phir kisi bhi degree program kay sath jahan par candidate jis field mein students ko teach karne ki khwahish rakhte hain bachelor degree hasil karta hai.

B.Com Kya Hota Hai B.Course Complete Information in hindi

India mein bachelor of education (B.Ed.) aik postgraduate course hai jo kay teaching mein dilchaspi leny waly students ko karwaya jata hai. India mein secondary classes mein parhanay kay liye jaisa kay 9th aur 10th and higher secondary jaisa kay 11th 12th kay liye B.Ed. degree lazmi hai. B.Ed mein admission leny kay liye minimum education jo require hai wo Bachelor of Arts (B.A) ya phir Bachelor of Science (B.Sc.) hai. Arts sey taluq rakhny waly candidates ko History, Civics, Geography aur Languages mein train kiya jata hai jab kay Bachelor of Science (B.Sc.) sey taluq rakhny waly candidate ko Mathematics, Physics, Chemistry aur Biology mein train kiya jata hai.


India mein is waqt jo colleges B.Ed. ki degree offer kar rahe hain un mein ICFAI College of Education, Dehradun, The Glocal University, Amity School of Education, Lady Irwin College, Global Women's College of Education (B.Ed) Gulbarga ye course Indira Gandhi National Open University (IGNOU). Is Course ki duration 2 years hoti hai. B.Ed. ki degree hasil karne kay baad students M.Ed. bhi karte hain jo kay kisi bhi Indian university or teacher-training institutes sey kiya ja sakta hai. India mein National Council for Teacher Education tamam courses ko aur teacher training courses ko regulate karti hai




No comments:

Post a Comment

veiew my post