Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare - AnysolutionTechnical website

AnysolutionTechnical website

ANYSOLUTION FOUNDNER RANJAN MISHRA

JOIN ONLINE CLASS

Saturday, May 19, 2018

Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare


Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare by ranjan mishra

 Apna CV / Resume Achche se banaye

 Sabse pehli cheez jo interviewer aapki dekhta hai wo ha aapka CV/ Resume. Usko dekhne ke baad hi wo apne sawaal taye karta hai aura apse sawal karta hai. Ye bahut zaruri hai ke aap apni CV me likhi hui har cheez ko padhe aur samjhe. Taaki aapse koi bhi kuch bhi sawaal kare toa aap uska jawaab dene me sakcham ho.

Resume Microsoft me banaya jaata hai.
Aapka Pehnawa \ Dressing sense
Dusri cheez jo interviewer dekhta hai wo hai aapka pehnawa yaahi dressing sense. Bahut zaruri hai ke aap Formals me jaye interview ke liye. Formals yaani Shirt and Pant ladko ke liye aur Salwar kameez ya shirt , pant ladkiyo ke liye. Bahut zada bright color waale kapde bhi nahi pehenne chahiye,jaise ki orange ya red ya yellow. Blue ke shades ya white ke shades sabse sahi hote hai.
Achche kapde pehenne se aapki personality achchi hoti hai  

Kuch Basic se sawaal jo har jagah pooche jaate hai


Kuch sawaal hai jinkilist di gayi hai neeche wohumesha hi pooche jaate hai

Tell me something about yourself  (Apne bare me thoda sa bataye)

Ye sawaal pooch ke interviewer bas ye dekhta hai ke aapki communication skill kaisi hai. Aur aap sawaal ke jawaab ko kis tarah dete hai. Sahi tarika iss sawal ke jawaab dene ka hai :

Mera Naam “xxxxx” hai. Maine “xxxx” padhai ki hui hai. Isme mere ye subjects the. Maine iss school ya college se padhai ki hui hai. Meri hobbies ye hai. Aur iss company me job karne me meri roochi bahut hai.
Koshish kare kam hi bataye, jada batane ka koi matlab nahi hai jub tak wo aapse aur na pooche.

Aaj se 5 saal ke baad tum apne aap ko kaha dekhte hai.

Iss sawaal ko pooch ke company ye jaanna chahti hai ke aap us company me jada time tikte hai ke nahi. Aap bole ke mai isi company me kisi bade position pe dekhta hu khud ko.
Aapke Strengths kya hai.
Strengths yaani aapki khoobi. Aap bole mai mehnati hu, juldi sikh sakta hu, team me kaam kar sakta hu. Target mile toa achieve kar sakta hu. Aur bhi bahut saari cheese apne bare me aap bata sakte hai.
Aapke Weakness Kya Hai.

Ye pooche jaane pe aapko sach me ye nahi batana ke aapki weakness ya hai. Aapko ye batana hai ke aap kaam ko leke bahut serios hai ye aapki weakness hai. Aap kaam ko huesha priority dete hai. Workoholic hai. Ye sab batane se aapka impression achcha jaata hai.

Aapko Hum Kyu Hire Kare.
Ye bahut common sawaal hai jo company aapse poochegi. Aapko batana hai ke aap iss profile ke liye ek suitable candidate hai.Aapke paas knowledge hai. Aap mehnati hai aur kaam bahut juldi se sikh jaate hai. Aap humesha kaam me dhyan dete hai aur juldi khatam karne ki koshish karte hai.
Aap isi company me kaam kyu karna chahte hai.
Ye pooche jaane pe aapko bolna hai ke aapko iss company me apna future dikhta hai. Company achchi hai aur agar aap mann laga ke kaam karenge toa aapke growth ke bhi chances bahut jada hai. Ye pooche jaane pe company ki achchai karna hoga aapko.
Iske liye pehle se hi company ke bare me padh ke jaye.
KUCH DUSRE TIPS JO AAPKO USE KARNE CHAHIYE


  • Time se pehle hi pahuch jaye jagah pe.
  • Confident rahe khud pe bhadosa rakhe.
  • Chehre pe smile rakhe.
  • Jawaab dete hue interviewer ki taraf hi dekhe , idhar uthar nahi.
  • Phone humesha silent me ho, aur use use na kare.
  • Ek pen aur copy humesha ssaath rakhe, taaki kuch note karna ho toa note kar le.

KUCH SAWAAL JO AAPKO COMPNAY WAALO SE POOCHNA CHAHIYE

  • Week me kitna din kaamkarna hoga.
  • Office ki timing kya hai.
  • Organisation ka structure kya hai.
  • Company ka future kya hai, company ka mission kya hai.
  • Aapko salary ke alawa aur kya kya benefit milega.
  • Company ki policies kya kya hai

SALARY POOCHE JAANE PE YE DHYAN RAKHE

Kabhi khud hi apna expectation na bataye. Humesha company pe chod de. Bole job hi company de wo sahi rahega. Lekin agar aap confident hai ke itna toa milna chahiye toa bare pyaar se bol de, ke agar itna milta toa bahut sahi rehta aur aap bahut mann laga ke bhi kaam karenge.
https://anysolutionanytime.blogspot.com
Umeed karta hu ke aapko ye tips jb interview ke achche lage honge aur aapne kuch sikha bhi hoga inse.
Agar aapko koi sawaal hai to aap hame comment me pooch sakte hai..
                       

No comments:

Post a Comment

veiew my post